This blog represents the official view of the voices in my head.







Wednesday, April 01, 2009




kabhi kabhi yaad aate hei woh suhane din
mummy ki DaanT par uThna
papa ki DaanT par sona
chhoTi chhoTi si baaton par
woh palang pe leTkar rona...
kabhi kabhi yaad aate hei... woh suhane din

woh der se nahana..
woh peT dard ka bahana..
woh saat dino ki saptahiki..
woh chitrahaaar suhana...
kabhi kabhi yaad aate hein... woh suhane din

ramlalji ki class mei..
chhupke se tifin khana..
woh aeroplane uDana..
woh "minu" pe phenka nishana..
kabhi kabhi yaad aate hei.... woh suhane din

match hota tha India ka..
hum khoob practice karte the..
plastic ball ke bouncer per bhi..
helmet pehen ke Darte the...
kabhi kabhi yaad aate hei.... woh suhane din

woh home work ke liye
shilpa ko manana..
jalebi lakar khilana..
uski behuda baaton par..
"kya baat hei" chillana.
kabhi kabhi yaad aate hei... woh suhane din

gar yeh tasveere na hoti
to shayad yaadein bhi na hoti..
kuchh bhooli bisari baaton par..
yun aankhe nam naa hoti..

bas yun hi...
kabhi kabhi yaad aate hei... woh suhane din

2 comments:

nidhi said...

loved it......

karuna said...

really touching....wonderfully expressed.........